Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaar baje

Raja Mehdi Ali Khan

chaar baje

Raja Mehdi Ali Khan

baiThe-biThā.e ho ga.ī ghar meñ mār-kaTā.ī chaar baje

mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje

ulTī ho ga.iiñ sab tadbīreñ kuchh na duā ne kaam kiyā

ammī aur abbā ne mil kar merā kaam tamām kiyā

aaj mohalle-bhar meñ gūñjī merī duhā.ī chaar baje

mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje

nāhaq ham majbūroñ par ye tohmat hai muḳhtārī

kitnī ḳhushī se ham ne apne piTne tayyārī

saare ghar meñ ham ne kaisī dhuum machā.ī chaar baje

mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje

ham-sā.ī kyuuñ aa.ī thī tujh ko shāyad ilm nahīñ

ye mere piTne manzar, koī achchhī film nahīñ

merā ye 'meTnī-show' kyuuñ dekhne aa.ī chaar baje

mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje

chaa.e mez pe maiñ ne kuchh naqs nikāle food meñ the

hā.e-rī qismat ammī abbā donoñ kuchh mood meñ the

baiThe baiThe un ko sūjhī merī bhalā.ī chaar baje

mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje

tere hukm binā ai daatā pattā tak nahīñ hiltā hai

maiñ to jānūñ tere dar se mujh ko sab kuchh miltā hai

thank you thank you ne karā.ī merī Thukā.ī chaar baje

mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje

baiThe-biThae ho gai ghar mein mar-kaTai chaar baje

mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje

ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dua ne kaam kiya

ammi aur abba ne mil kar mera kaam tamam kiya

aaj mohalle-bhar mein gunji meri duhai chaar baje

mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje

nahaq hum majburon par ye tohmat hai muKHtari ki

kitni KHushi se hum ne apne piTne ki tayyari ki

sare ghar mein hum ne kaisi dhum machai chaar baje

mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje

bi ham-sai tu kyun aai thi tujh ko shayad ilm nahin

ye mere piTne ka manzar, koi achchhi film nahin

tu mera ye 'meTni-show' kyun dekhne aai chaar baje

mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje

chae ki mez pe main ne kuchh naqs nikale food mein the

hae-ri qismat ammi abba donon hi kuchh mood mein the

baiThe baiThe un ko sujhi meri bhalai chaar baje

mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje

tere hukm bina ai data patta tak nahin hilta hai

main to jaanun tere hi dar se mujh ko sab kuchh milta hai

thank you thank you tu ne karai meri Thukai chaar baje

mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now