miss simin badan
ek mis sīmīñ badan se kar liyā london meñ aqd
is ḳhatā par sun rahā huuñ tāna-hā-e-dil-ḳharāsh
koī kahtā hai ki bas us ne bigāḌī nasl-e-qaum
koī kahtā hai ki ye hai bad-ḳhisāl-o-bad-ma.āsh
dil meñ kuchh insāf kartā hī nahīñ koī buzurg
ho ke ab majbūr ḳhud is raaz ko kartā huuñ faash
hotī thī tākīd london jaao añgrezī paḌho
qaum-e-english se milo sīkho vahī vaz.a-e-tarāsh
jagmagāte hoTaloñ kā jā ke nazzāra karo
soup o karrī ke maze lo chhoḌ kar yaḳhnī o aash
līdaroñ se mil ke dekho un ke andāz-o-tarīq
hall meñ nācho clab meñ jaake khelo un se taash
bāda-e-tahzīb-e-europe ke chaḌhāo ḳhum ke ḳhum
asia ke shīsha-e-taqvā ko kar do paash paash
jab amal is par kiyā pariyoñ kā saaya ho gayā
jis se thā dil kī harārat ko sarāsar inte.āsh
sāmne thiiñ leadiyāñ zehara-vash o jādū-nazar
yaañ javānī kī umañg aur un ko āshiq kī talāsh
us kī chitvan sehar-āgīñ us kī bāteñ dil-rubā
chaal us kī fitna-ḳhez us kī nigāheñ barq-pāsh
vo faroġh-e-ātish-e-ruḳh jis ke aage āftāb
is tarah jaise ki pesh-e-sham.a parvāne kī laash
jab ye sūrat thī to mumkin thā ki ik barq-e-balā
dast-e-sīmīñ ko baḌhātī aur maiñ kahtā dūr-bāsh?
donoñ jānib thā ragoñ meñ josh-e-ḳhūn-e-fitna-zā
dil hī thā āḳhir nahīñ thī barf kī ye koī qaash
baar baar aatā hai 'akbar' mere dil meñ ye ḳhayāl
hazrat-e-sayyad se jākar arz kartā koī kaash
'darmiyān-e-qa.ar-e-dariyā taḳhta-bandam-karda-ī
bāz-mī-goī ki dāman-tar makun-hushyār-bāsh
ek mis simin badan se kar liya london mein aqd
is KHata par sun raha hun tana-ha-e-dil-KHarash
koi kahta hai ki bas us ne bigaDi nasl-e-qaum
koi kahta hai ki ye hai bad-KHisal-o-bad-maash
dil mein kuchh insaf karta hi nahin koi buzurg
ho ke ab majbur KHud is raaz ko karta hun fash
hoti thi takid london jao angrezi paDho
qaum-e-english se milo sikho wahi waza-e-tarash
jagmagate hoTalon ka ja ke nazzara karo
soup o karri ke maze lo chhoD kar yaKHni o aash
lidaron se mil ke dekho un ke andaz-o-tariq
hall mein nacho clab mein jake khelo un se tash
baada-e-tahzib-e-europe ke chaDhao KHum ke KHum
asia ke shisha-e-taqwa ko kar do pash pash
jab amal is par kiya pariyon ka saya ho gaya
jis se tha dil ki hararat ko sarasar inteash
samne thin leadiyan zehara-wash o jadu-nazar
yan jawani ki umang aur un ko aashiq ki talash
us ki chitwan sehar-agin us ki baaten dil-ruba
chaal us ki fitna-KHez us ki nigahen barq-pash
wo farogh-e-atish-e-ruKH jis ke aage aaftab
is tarah jaise ki pesh-e-shama parwane ki lash
jab ye surat thi to mumkin tha ki ek barq-e-bala
dast-e-simin ko baDhati aur main kahta dur-bash?
donon jaanib tha ragon mein josh-e-KHun-e-fitna-za
dil hi tha aaKHir nahin thi barf ki ye koi qash
bar bar aata hai 'akbar' mere dil mein ye KHayal
hazrat-e-sayyad se jakar arz karta koi kash
'darmiyan-e-qar-e-dariya taKHta-bandam-karda-i
baz-mi-goi ki daman-tar makun-hushyar-bash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.