Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nargisistan ki bhi Tuk dekho phaban aaine mein

Insha Allah Khan Insha

nargisistan ki bhi Tuk dekho phaban aaine mein

Insha Allah Khan Insha

nargisistāñ bhī Tuk dekho phaban ā.īne meñ

baaġh mat jaao ki hai amn-o-chaman ā.īne meñ

lahreñ letā hai paḌā machchhī bhavan ā.īne meñ

chuum le bhalā apnā dahan ā.īne meñ

raaja nal jo paḌā aks-e-dahan ā.īne meñ

to nazar aa.ī use shakl-e-daman ā.īne meñ

kyūñki maiñ jaise ko taisā na phir aa.uuñ nazar

ya.anī kyā ma.anī na ho ā.īna-pan ā.īne meñ

madh pe joban ke chaḌhe aise the vo to ki bas

aa ga.e nashe meñ dekh apnī phaban ā.īne meñ

tevar aise halākū haiñ jo kuchh bas ho to vo

aks-e-ādam ko kareñ gor-o-kafan ā.īne meñ

shaġhl-e-ā.īna se lazzat ye uThā.ī hai ki bas

ham faqīroñ ne kiyā apnā vatan ā.īne meñ

sho.ale aahoñ ke badan apne se haiñ yuuñ numūd

mun.akis jaise ho sūraj kiran ā.īne meñ

hauz-e-ā.īna se favvāra nazākat chhuTe

raunaq-afzā jo ho vo chāh-e-zaqan ā.īne meñ

vaah is tiflī o is shakl-e-javānī ke badal

sāmne hoveñge ik mard-e-kuhan ā.īne meñ

dekh kar apnī bahār us ne ye 'inshā' se kahā

baaġh meñ kab hai chaman jo hai chaman ā.īne meñ

nargisistan ki bhi Tuk dekho phaban aaine mein

bagh mat jao ki hai amn-o-chaman aaine mein

lahren leta hai paDa machchhi bhawan aaine mein

chum le tu hi bhala apna dahan aaine mein

raja nal ka jo paDa aks-e-dahan aaine mein

to nazar aai use shakl-e-daman aaine mein

kyunki main jaise ko taisa hi na phir aaun nazar

yani kya mani na ho aaina-pan aaine mein

madh pe joban ke chaDhe aise hi the wo to ki bas

aa gae nashe mein dekh apni phaban aaine mein

tewar aise hi halaku hain jo kuchh bas ho to wo

aks-e-adam ko karen gor-o-kafan aaine mein

shaghl-e-aina se lazzat ye uThai hai ki bas

hum faqiron ne kiya apna watan aaine mein

shoale aahon ke badan apne se hain yun hi numud

munakis jaise ho suraj ki kiran aaine mein

hauz-e-aina se fawwara nazakat ka chhuTe

raunaq-afza jo ho wo chah-e-zaqan aaine mein

wah is tifli o is shakl-e-jawani ke badal

samne howenge ek mard-e-kuhan aaine mein

dekh kar apni bahaar us ne ye 'insha' se kaha

bagh mein kab hai chaman jo hai chaman aaine mein

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now