Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHanjar-e-shab jo utar jaenge aankhon mein meri

Fayyaz Domki

KHanjar-e-shab jo utar jaenge aankhon mein meri

Fayyaz Domki

ḳhanjar-e-shab jo utar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī

manzar-e-rafta Thahar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī

zulm sahne ke liye rakhtā huuñ patthar jigar

ashk-e-ġham yūñhī na bhar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī

hogā baazū se numāyāñ mirī jur.at kamāl

hādse jab bhī Thahar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī

jab bhī aa.egā mujhe ahd-e-guzishta ḳhayāl

kitne tūfāñ se biphar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī

kis tarah ḳhud meñ utāreñge sahar nashsha

zaḳhm-e-shab nīñdeñ jo dhar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī

KHanjar-e-shab jo utar jaenge aankhon mein meri

manzar-e-rafta Thahar jaenge aankhon mein meri

zulm sahne ke liye rakhta hun patthar ka jigar

ashk-e-gham yunhi na bhar jaenge aankhon mein meri

hoga bazu se numayan meri jurat ka kamal

hadse jab bhi Thahar jaenge aankhon mein meri

jab bhi aaega mujhe ahd-e-guzishta ka KHayal

kitne tufan se biphar jaenge aankhon mein meri

kis tarah KHud mein utarenge sahar ka nashsha

zaKHm-e-shab ninden jo dhar jaenge aankhon mein meri

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now