zinda rahne ke tazkire hain bahut
zinda rahne ke tazkire haiñ bahut
marne vāloñ meñ jī uThe haiñ bahut
un kī āñkhoñ meñ ḳhuuñ utar aayā
qaidiyoñ par sitam hue haiñ bahut
us ke vāris nazar nahīñ aa.e
shāyad us laash ke pate haiñ bahut
jāgte haiñ to paañv meñ zanjīr
varna ham niind meñ chale haiñ bahut
jin ke saa.e meñ raat guzrī hai
un sitāroñ ne dukh diye haiñ bahut
tujh se milne kā rāsta bas ek
aur bichhaḌne ke rāste haiñ bahut
zinda rahne ke tazkire hain bahut
marne walon mein ji uThe hain bahut
un ki aankhon mein KHun utar aaya
qaidiyon par sitam hue hain bahut
us ke waris nazar nahin aae
shayad us lash ke pate hain bahut
jagte hain to panw mein zanjir
warna hum nind mein chale hain bahut
jin ke sae mein raat guzri hai
un sitaron ne dukh diye hain bahut
tujh se milne ka rasta bas ek
aur bichhaDne ke raste hain bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.