Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamana ab ye kaisa aa raha hai

Mazhar Imam

zamana ab ye kaisa aa raha hai

Mazhar Imam

zamāna ab ye kaisā aa rahā hai

ki har badmast sambhlā rahā hai

jalātī hai ḳhirad sham'oñ pe sham'eñ

añdherā hai ki baḌhtā rahā hai

du'ā.eñ kar rahe haiñ ahl-e-sāhil

safīna hai ki Duubā rahā hai

magar baḌhtī nahīñ hai baat aage

zamāna hai ki guzrā rahā hai

bharā thā rang jis ḳhāke meñ barsoñ

vo ḳhāka yak ba yak dhuñdlā rahā hai

mohabbat aap manzil hai apnī

na jaane husn kyuuñ itrā rahā hai

maiñ ḳhud tasvīr bantā rahā huuñ

tasavvur meñ mire kaun aa rahā hai

kisī se phir mohabbat ho rahī hai

mujhe phir pyaar dil par aa rahā hai

nigāh-e-'ishq vus'at na pūchho

jahān-e-husn simTā rahā hai

judā us ko na samjho kārvāñ se

'imām' ik bāñkpan se aa rahā hai

zamana ab ye kaisa aa raha hai

ki har badmast sambhla ja raha hai

jalati hai KHirad sham'on pe sham'en

andhera hai ki baDhta ja raha hai

du'aen kar rahe hain ahl-e-sahil

safina hai ki Duba ja raha hai

magar baDhti nahin hai baat aage

zamana hai ki guzra ja raha hai

bhara tha rang jis KHake mein barson

wo KHaka yak ba yak dhundla raha hai

mohabbat aap hi manzil hai apni

na jaane husn kyun itra raha hai

main KHud taswir banta ja raha hun

tasawwur mein mere kaun aa raha hai

kisi se phir mohabbat ho rahi hai

mujhe phir pyar dil par aa raha hai

nigah-e-'ishq ki wus'at na puchho

jahan-e-husn simTa ja raha hai

juda us ko na samjho karwan se

'imam' ek bankpan se aa raha hai

Source :
  • Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 221)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now