zaKHm risne laga hai phir shayad
zaḳhm risne lagā hai phir shāyad
yaad us ne kiyā hai phir shāyad
siskiyāñ gūñjtī haiñ kānoñ meñ
ghar kisī kā jalā hai phir shāyad
hāsil-e-umr kyā yahī kuchh hai
ye abhī sochnā hai phir shāyad
dar-e-zindāñ pe phir huī dastak
koī dard-āshnā hai phir shāyad
phir parinde uḌe haiñ shāḳhoñ se
ik dhamāka huā hai phir shāyad
muskurāte haiñ dekh dekh ke log
imtihān-e-vafā hai phir shāyad
zaKHm risne laga hai phir shayad
yaad us ne kiya hai phir shayad
siskiyan gunjti hain kanon mein
ghar kisi ka jala hai phir shayad
hasil-e-umr kya yahi kuchh hai
ye abhi sochna hai phir shayad
dar-e-zindan pe phir hui dastak
koi dard-ashna hai phir shayad
phir parinde uDe hain shaKHon se
ek dhamaka hua hai phir shayad
muskuraate hain dekh dekh ke log
imtihan-e-wafa hai phir shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.