Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zalim buton se aankh lagai na jaegi

Jaleel Manikpuri

zalim buton se aankh lagai na jaegi

Jaleel Manikpuri

zālim butoñ se aañkh lagā.ī na jā.egī

patthar choT dil se uThā.ī na jā.egī

hone do ho rahe haiñ jo ulfat ke tazkire

bigḌoge tum to baat banā.ī na jā.egī

kah do ye sham.a se ki abas hai ashk-bār

paanī se dil aag bujhā.ī na jā.egī

chilman ho naqāb ho parda-e-hayā

sūrat tirī kisī se chhupā.ī na jā.egī

mumkin hai tīr-e-nāz se dil ko bachā bhī luuñ

lekin nazar choT bachā.ī na jā.egī

āñkheñ ḳhudā ne haiñ to dekheñge husn-e-yār

kab tak naqāb ruḳh se uThā.ī na jā.egī

tauba ko muñh lagā ke ḳhajil hoge tum 'jalīl'

jaam o subū se aañkh milā.ī na jā.egī

zalim buton se aankh lagai na jaegi

patthar ki choT dil se uThai na jaegi

hone do ho rahe hain jo ulfat ke tazkire

bigDoge tum to baat banai na jaegi

kah do ye shama se ki abas tu hai ashk-bar

pani se dil ki aag bujhai na jaegi

chilman ho ya naqab ho ya parda-e-haya

surat teri kisi se chhupai na jaegi

mumkin hai tir-e-naz se dil ko bacha bhi lun

lekin nazar ki choT bachai na jaegi

aankhen KHuda ne di hain to dekhenge husn-e-yar

kab tak naqab ruKH se uThai na jaegi

tauba ko munh laga ke KHajil hoge tum 'jalil'

jam o subu se aankh milai na jaegi

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

00:00/00:00
Fasih Akmal

zalim buton se aankh lagai na jaegi Fasih Akmal

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now