yun to un ko hai sau dafa dekha
yuuñ to un ko hai sau dafa dekhā
har dafa kuchh na kuchh nayā dekhā
ghar amīroñ ke the baḌe maanā
dil ġharīboñ kā par baḌā dekhā
apnī āñkhoñ kī bad-nasībī haa.e
ik na ik roz hādisa dekhā
ḳhūb-rū to hazār dekhe haiñ
tere jaisā na kaj-adā dekhā
ye bhī tauhīd hī to hai vā'iz
ham ne har but meñ hai ḳhudā dekhā
kaun tujh sā hai ḳhush-nasīb 'sadā'
jis ne har ġham kā hai maza dekhā
yun to un ko hai sau dafa dekha
har dafa kuchh na kuchh naya dekha
ghar amiron ke the baDe mana
dil gharibon ka par baDa dekha
apni aankhon ki bad-nasibi hae
ek na ek roz hadisa dekha
KHub-ru to hazar dekhe hain
tere jaisa na kaj-ada dekha
ye bhi tauhid hi to hai wa'iz
hum ne har but mein hai KHuda dekha
kaun tujh sa hai KHush-nasib 'sada'
jis ne har gham ka hai maza dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.