Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun badalti hai kahin barq-o-sharar ki surat

Akhtar Ansari Akbarabadi

yun badalti hai kahin barq-o-sharar ki surat

Akhtar Ansari Akbarabadi

yuuñ badaltī hai kahīñ barq-o-sharar sūrat

qābil-e-dīd huī hai gul-e-tar sūrat

zulf aaḌ meñ thī jān-e-nazar sūrat

raat guzrī to nazar aa.ī sahar sūrat

un ke lab par hai tabassum mirī āñkhoñ meñ surūr

kyā dikhā.ī hai duāoñ ne asar sūrat

qāfile vaalo na.e qāfila-sālār aa.e

ab badal jā.egī andāz-e-safar sūrat

kyā karishma hai mire jazba-e-āzādī

thī jo dīvār kabhī ab hai vo dar sūrat

ab koī hausla-afzā-e-hunar hai 'aḳhtar'

ab nazar aa.egī arbāb-e-hunar sūrat

yun badalti hai kahin barq-o-sharar ki surat

qabil-e-did hui hai gul-e-tar ki surat

zulf ki aaD mein thi jaan-e-nazar ki surat

raat guzri to nazar aai sahar ki surat

un ke lab par hai tabassum meri aankhon mein surur

kya dikhai hai duaon ne asar ki surat

qafile walo nae qafila-salar aae

ab badal jaegi andaz-e-safar ki surat

kya karishma hai mere jazba-e-azadi ka

thi jo diwar kabhi ab hai wo dar ki surat

ab koi hausla-afza-e-hunar hai 'aKHtar'

ab nazar aaegi arbab-e-hunar ki surat

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now