ye sidhe jo ab zulfon wale hue hain
ye sīdhe jo ab zulfoñ vaale hue haiñ
hamāre hī sab bal nikāle hue haiñ
tabassum-fazā mere naale hue haiñ
zarā shoḳh ab sharm vaale hue haiñ
mire haath par khele haiñ af.ī-e-zulf
ye saañp āstīnoñ ke paale hue haiñ
nahīñ ham ko laġhzish kā Dar mai-kade meñ
ki do do farishte sambhāle hue haiñ
ulajhte haiñ sote meñ zulfoñ se kyā kyā
vabāl un ko kānoñ ke baale hue haiñ
chhupā kar bahut pī hai masjid meñ vaa.iz
ye zarf-e-vuzū sab khañgāle hue haiñ
shab-e-vasl bole na ab dil meñ aa.eñ
jo armān mere nikāle hue haiñ
alag hai ḳhudā.ī se kuchh sāḳht un kī
ye but aur sāñche meñ Dhāle hue haiñ
jo yaad ab tak aate haiñ ahl-e-chaman ko
qafas meñ vahī naġhme naale hue haiñ
kisī par dam-e-hashr kyā aañkh Dālūñ
hasīñ sab mire dekhe-bhāle hue haiñ
junūñ rañg laayā hai phir fasl-e-gul meñ
nahīñ laala sab zaḳhm aale hue haiñ
charāġh ab shab-e-vasl jalne na deñge
vo gesū jo bal khā ke kaale hue haiñ
nazākat ne terī girāyā nazar se
sab kitne bhārī doshāle hue haiñ
ye ai shaiḳh gumbad nahīñ masjidoñ meñ
ḳhum-e-mai hamāre uchhāle hue haiñ
bharī bazm meñ lutf-e-ḳhalvat nahīñ hai
vo nashshe meñ haiñ ham sambhāle hue haiñ
ye kahtī hai mast aañkh un kī shab-e-vasl
ka.ī aaj ḳhālī pyāle hue haiñ
bahe haiñ jo furqat meñ āñkhoñ se merī
vo dariyā to āñkheñ nikāle hue haiñ
are kāñTo jo ashk mizhgāñ se Tapke
vahī paañv paḌ paḌ ke chhāle hue haiñ
subū āb-e-zamzam se dho kar bharī mai
achhūte haiñ jitne khañgāle hue haiñ
javānī meñ kyuuñ sar uThā.eñ na gesū
ki ab Dasne vaale ye kaale hue haiñ
vo mahshar meñ kyā aib kholeñge mere
jo rahmat se ab parda Daale hue haiñ
sunā hai 'riyāz' apnī dāḌhī baḌhā kar
buḌhāpe meñ allāh vaale hue haiñ
ye sidhe jo ab zulfon wale hue hain
hamare hi sab bal nikale hue hain
tabassum-faza mere nale hue hain
zara shoKH ab sharm wale hue hain
mere hath par khele hain afi-e-zulf
ye sanp aastinon ke pale hue hain
nahin hum ko laghzish ka Dar mai-kade mein
ki do do farishte sambhaale hue hain
ulajhte hain sote mein zulfon se kya kya
wabaal un ko kanon ke baale hue hain
chhupa kar bahut pi hai masjid mein waiz
ye zarf-e-wuzu sab khangale hue hain
shab-e-wasl bole na ab dil mein aaen
jo arman mere nikale hue hain
alag hai KHudai se kuchh saKHt un ki
ye but aur sanche mein Dhaale hue hain
jo yaad ab tak aate hain ahl-e-chaman ko
qafas mein wahi naghme nale hue hain
kisi par dam-e-hashr kya aankh Dalun
hasin sab mere dekhe-bhaale hue hain
junun rang laya hai phir fasl-e-gul mein
nahin lala sab zaKHm aale hue hain
charagh ab shab-e-wasl jalne na denge
wo gesu jo bal kha ke kale hue hain
nazakat ne teri giraya nazar se
sab kitne bhaari doshaale hue hain
ye ai shaiKH gumbad nahin masjidon mein
KHum-e-mai hamare uchhaale hue hain
bhari bazm mein lutf-e-KHalwat nahin hai
wo nashshe mein hain hum sambhaale hue hain
ye kahti hai mast aankh un ki shab-e-wasl
kai aaj KHali pyale hue hain
bahe hain jo furqat mein aankhon se meri
wo dariya to aankhen nikale hue hain
are kanTo jo ashk mizhgan se Tapke
wahi panw paD paD ke chhaale hue hain
subu aab-e-zamzam se dho kar bhari mai
achhute hain jitne khangale hue hain
jawani mein kyun sar uThaen na gesu
ki ab Dasne wale ye kale hue hain
wo mahshar mein kya aib kholenge mere
jo rahmat se ab parda Dale hue hain
suna hai 'riyaz' apni daDhi baDha kar
buDhape mein allah wale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.