Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye shab o roz jo ek be-kali rakkhi hui hai

Jaleel 'Aali'

ye shab o roz jo ek be-kali rakkhi hui hai

Jaleel 'Aali'

MORE BYJaleel 'Aali'

    ye shab o roz jo ik be-kalī rakkhī huī hai

    jaane kis husn dīvāngī rakkhī huī hai

    vo jo ik mauj-e-mohabbat tire ruḳh par jhalkī

    aañkh meñ aaj bhī us namī rakkhī huī hai

    vaqt detā hai jo pahchān to ye dekhtā hai

    kis ne kis dard meñ dil ḳhushī rakkhī huī hai

    aatī rahtī haiñ ajab aks o sadā lahreñ

    mere hisse kahīñ shā.irī rakkhī huī hai

    dasht chup se ubhartī haiñ sadā.eñ kyā kyā

    bahr ke shor meñ kyā ḳhāmushī rakkhī huī hai

    koī dhun hai pas-e-iz.hār safar meñ jis ne

    merī ġhazloñ fazā aur rakkhī huī hai

    kam kahā aur sujhāyā hai zyāda 'ālī'

    ek ik satr meñ ik an-kahī rakkhī huī hai

    ye shab o roz jo ek be-kali rakkhi hui hai

    jaane kis husn ki diwangi rakkhi hui hai

    wo jo ek mauj-e-mohabbat tere ruKH par jhalki

    aankh mein aaj bhi us ki nami rakkhi hui hai

    waqt deta hai jo pahchan to ye dekhta hai

    kis ne kis dard mein dil ki KHushi rakkhi hui hai

    aati rahti hain ajab aks o sada ki lahren

    mere hisse ki kahin shairi rakkhi hui hai

    dasht ki chup se ubharti hain sadaen kya kya

    bahr ke shor mein kya KHamushi rakkhi hui hai

    koi dhun hai pas-e-izhaar safar mein jis ne

    meri ghazlon ki faza aur si rakkhi hui hai

    kam kaha aur sujhaya hai zyaada 'ali'

    ek ek satr mein ek an-kahi rakkhi hui hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now