Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kis ke naqsh-e-pa se aisa silsila charagh tha

Afzal Gauhar Rao

ye kis ke naqsh-e-pa se aisa silsila charagh tha

Afzal Gauhar Rao

ye kis ke naqsh-e-pā se aisā silsila charāġh thā

ki mujh ko yuuñ lagā ki saarā rāsta charāġh thā

zarā der meñ ḳhadd-o-ḳhāl-e-shab badal ga.e

na shakl koī chāñd thī na aa.ina charāġh thā

savāl ye hai raushnī vahāñ pe rok ga.ī

jahāñ pe har kisī ke haath meñ nayā charāġh thā

bahut se haath sub.h duā karte rah ga.e

maiñ pur-umīd thā ki merā hausla charāġh thā

kahīñ kahīñ se jhaḌ rahī thī bhurnhurī raushnī

havā-e-shab ke ġham meñ kaisā mubtalā charāġh thā

zarā kyā havā chalī ki log saTpaTā ga.e

vahī gañvā diyā gayā jo raat charāġh thā

ye kis ke naqsh-e-pa se aisa silsila charagh tha

ki mujh ko yun laga ki sara rasta charagh tha

zara si der mein hi KHadd-o-KHal-e-shab badal gae

na shakl koi chand thi na aaina charagh tha

sawal ye hai raushni wahan pe rok di gai

jahan pe har kisi ke hath mein naya charagh tha

bahut se hath subh ki dua hi karte rah gae

main pur-umid tha ki mera hausla charagh tha

kahin kahin se jhaD rahi thi bhurnhuri si raushni

hawa-e-shab ke gham mein kaisa mubtala charagh tha

zara si kya hawa chali ki log saTpaTa gae

wahi ganwa diya gaya jo raat ka charagh tha

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now