ye kaisi hijraten hain mausamon mein
ye kaisī hijrateñ haiñ mausamoñ meñ
parinde bhī nahīñ haiñ ghoñsloñ meñ
bhaḌak uTTheñge sho.ale jañgaloñ meñ
agar jugnū bhī chamkā jhāḌiyoñ meñ
ye kin sochoñ kī dīmak reñgtī hai
mire māthe kī gahrī silvaToñ meñ
raqam hai chehra chehra jo kahānī
kin afsānoñ meñ hai kin noveloñ meñ
bahut tanhā hai vo ūñchī havelī
mire gaañv ke in kachche gharoñ meñ
ye kaisi hijraten hain mausamon mein
parinde bhi nahin hain ghonslon mein
bhaDak uTThenge shoale jangalon mein
agar jugnu bhi chamka jhaDiyon mein
ye kin sochon ki dimak rengti hai
mere mathe ki gahri silwaTon mein
raqam hai chehra chehra jo kahani
kin afsanon mein hai kin nowelon mein
bahut tanha hai wo unchi haweli
mere ganw ke in kachche gharon mein
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 394)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.