Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo uThti konpal hai jab apna barg nikalegi

Nazeer Akbarabadi

ye jo uThti konpal hai jab apna barg nikalegi

Nazeer Akbarabadi

ye jo uThtī koñpal hai jab apnā barg nikālegī

Daalī Daalī chāTegī aur pattā pattā khā legī

honhār birvā ke patte chikne chikne hote haiñ

bahut nahīñ kuchh thoḌe din meñ bel phunag ko ālegī

abhī to kyā hai chhuTpan hai nādānī hai be-hoshī hai

qahr to us din hovegā jab apnā hosh sambhālegī

nāz-adā aur ġhamzoñ ke kuchh aur katregī gul-phūl

siin lagāvaT chitvan bhī aur itr nikālegī

kājal mehñdī paan misī aur kañghī choTī meñ har aan

kyā kyā rañg banāvegī aur kyā kyā naqshe Dhālegī

jab ye tan gadrāvegā aur baazū bāñheñ hoñge gol

us dam dekhā chāhiye kyā kyā peT ke paañv nikālegī

kis kis dil dhaḌkegā aur kaun malegā hāthoñ ko

pakkīñ se jab añgiyā meñ ye kachche seb uchhālegī

paan chabā aur ā.īne meñ dekh ke apne hoñToñ ko

kyā kyā hañs hañs devegī aur kyā kyā dekhe-bhālegī

ḳhāna-jañgyāñ hoveñgī aur log mareñge kaT kaT kar

shahr ke kūche-galiyoñ meñ ik shor-e-qayāmat Dālegī

jab ye meva husn ras ras pak kar hovegā tayyār

nā.ika is qīmat jab dekhā chāhiye kyā legī

sonā ruupā sīm-o-javāhir sabr o dil o diiñ hosh-o-qarār

aañkh uThā kar dekhte ek aan meñ sab rakhvā legī

apne vaqt-e-javānī meñ ye shoḳh ḳhudā jaane 'nazīr'

kis kis zar lūTegī aur kis kis ghar ghālegī

ye jo uThti konpal hai jab apna barg nikalegi

Dali Dali chaTegi aur patta patta kha legi

honhaar birwa ke patte chikne chikne hote hain

bahut nahin kuchh thoDe hi din mein bel phunag ko aalegi

abhi to kya hai chhuTpan hai nadani hai be-hoshi hai

qahr to us din howega jab apna hosh sambhaalegi

naz-ada aur ghamzon ke kuchh aur hi katregi gul-phul

sin lagawaT chitwan ka bhi aur hi itr nikalegi

kajal mehndi pan misi aur kanghi choTi mein har aan

kya kya rang banawegi aur kya kya naqshe Dhaalegi

jab ye tan gadrawega aur bazu banhen honge gol

us dam dekha chahiye kya kya peT ke panw nikalegi

kis kis ka dil dhaDkega aur kaun malega hathon ko

pakkin se jab angiya mein ye kachche seb uchhaalegi

pan chaba aur aaine mein dekh ke apne honTon ko

kya kya hans hans dewegi aur kya kya dekhe-bhaalegi

KHana-jangyan howengi aur log marenge kaT kaT kar

shahr ke kuche-galiyon mein ek shor-e-qayamat Dalegi

jab ye mewa husn ka ras ras pak kar howega tayyar

naika is ki qimat ka jab dekha chahiye kya legi

sona rupa sim-o-jawahir sabr o dil o din hosh-o-qarar

aankh uTha kar dekhte hi ek aan mein sab rakhwa legi

apne waqt-e-jawani mein ye shoKH KHuda hi jaane 'nazir'

kis kis ka zar luTegi aur kis kis ka ghar ghaalegi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now