Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaadon ke sab rang uDa kar tanha hun

Fatima Hasan

yaadon ke sab rang uDa kar tanha hun

Fatima Hasan

MORE BYFatima Hasan

    yādoñ ke sab rañg uḌā kar tanhā huuñ

    apnī bastī se duur aa kar tanhā huuñ

    koī nahīñ hai mere jaisā chāroñ or

    apne gird ik bhiiḌ sajā kar tanhā huuñ

    jitne log haiñ utnī āvāzeñ haiñ

    lahjoñ tūfān uThā kar tanhā huuñ

    raushniyoñ ke aadī kaise jāneñge

    āñkhoñ meñ do diip jalā kar tanhā huuñ

    jis manzar se guzrī thī maiñ us ke saath

    aaj usī manzar men aa kar tanhā huuñ

    paanī lahroñ par bahtī āñkhoñ meñ

    kitne bhūle ḳhvāb jagā kar tanhā huuñ

    merā pyārā sāthī kab ye jānegā

    dariyā āġhosh tak aa kar tanhā huuñ

    apnā aap bhī kho dene ḳhvāhish meñ

    us bhī ik naam bhulā kar tanhā huuñ

    yaadon ke sab rang uDa kar tanha hun

    apni basti se dur aa kar tanha hun

    koi nahin hai mere jaisa chaaron or

    apne gird ek bhiD saja kar tanha hun

    jitne log hain utni hi aawazen hain

    lahjon ka tufan uTha kar tanha hun

    raushniyon ke aadi kaise jaanenge

    aankhon mein do dip jala kar tanha hun

    jis manzar se guzri thi main us ke sath

    aaj usi manzar mein aa kar tanha hun

    pani ki lahron par bahti aankhon mein

    kitne bhule KHwab jaga kar tanha hun

    mera pyara sathi kab ye jaanega

    dariya ki aaghosh tak aa kar tanha hun

    apna aap bhi kho dene ki KHwahish mein

    us ka bhi ek nam bhula kar tanha hun

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now