yaadon ka ajib silsila hai
yādoñ kā ajiib silsila hai
soyā huā dard jaag uThā hai
miT bhī chuke naqsh-e-pā magar dil
mahkī huī chaap sun rahā hai
jaltī huī manziloñ kā raahī
ab apnā hī saaya DhūñDhtā hai
dīvāreñ khaḌī huī haiñ lekin
andar se makān gir rahā hai
pūchhe hai chaTak ke ġhuncha-e-zaḳhm
ai ajnabī terā naam kyā hai
sochoñ ke athāh pāniyoñ meñ
dil barf kā phuul ban gayā hai
kis shola-badan kī yaad aa.ī
dāmān-e-ḳhayāl jal uThā hai
taḳhlīq meñ ḳhud chhupā huā hai
fankār bhī fitratan ḳhudā hai
murjhā ke har ek zard patta
āveza-e-gosh ban gayā hai
sochā hai ye maiñ ne pī ke aksar
nashshe meñ ye raushnī sī kyā hai
shāḳhoñ pe pūjāraneñ sajī haiñ
har phuul chaman kā devtā hai
sahrā-e-vafā meñ mere fan kī
ḳhushbū kā charāġh jal rahā hai
phir pā.eñge ḳhaak se numū ham
'fāriġh' ye usūl-e-irtiqā hai
iz.hār kā jis ko hausla hai
vo apnī sadī kā devtā hai
mansūr se kam nahīñ hai vo bhī
jo apnī zabāñ se boltā hai
vo peḌ hai zindagī kī azmat
jo tund havā se laḌ rahā hai
qātil ko duā.eñ do ki 'fāriġh'
har zaḳhm-e-vafā ġhazal-sarā hai
yaadon ka ajib silsila hai
soya hua dard jag uTha hai
miT bhi chuke naqsh-e-pa magar dil
mahki hui chap sun raha hai
jalti hui manzilon ka rahi
ab apna hi saya DhunDhta hai
diwaren khaDi hui hain lekin
andar se makan gir raha hai
puchhe hai chaTak ke ghuncha-e-zaKHm
ai ajnabi tera nam kya hai
sochon ke athah paniyon mein
dil barf ka phul ban gaya hai
kis shola-badan ki yaad aai
daman-e-KHayal jal uTha hai
taKHliq mein KHud chhupa hua hai
fankar bhi fitratan KHuda hai
murjha ke har ek zard patta
aaweza-e-gosh ban gaya hai
socha hai ye main ne pi ke aksar
nashshe mein ye raushni si kya hai
shaKHon pe pujaranen saji hain
har phul chaman ka dewta hai
sahra-e-wafa mein mere fan ki
KHushbu ka charagh jal raha hai
phir paenge KHak se numu hum
'farigh' ye usul-e-irtiqa hai
izhaar ka jis ko hausla hai
wo apni sadi ka dewta hai
mansur se kam nahin hai wo bhi
jo apni zaban se bolta hai
wo peD hai zindagi ki azmat
jo tund hawa se laD raha hai
qatil ko duaen do ki 'farigh'
har zaKHm-e-wafa ghazal-sara hai
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 298)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.