Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan aa ke rukne the raste kahan moD tha use bhul ja

Amjad Islam Amjad

kahan aa ke rukne the raste kahan moD tha use bhul ja

Amjad Islam Amjad

kahāñ aa ke rukne the rāste kahāñ moḌ thā use bhuul

vo jo mil gayā use yaad rakh jo nahīñ milā use bhuul

vo tire nasīb bārisheñ kisī aur chhat pe baras ga.iiñ

dil-e-be-ḳhabar mirī baat sun use bhuul use bhuul

maiñ to gum thā tere dhyān meñ tirī aas tere gumān meñ

sabā kah ga.ī mire kaan meñ mire saath aa use bhuul

kisī aañkh meñ nahīñ ashk-e-ġham tire ba.ad kuchh bhī nahīñ hai kam

tujhe zindagī ne bhulā diyā bhī muskurā use bhuul

kahīñ chāk-e-jāñ rafū nahīñ kisī āstīñ pe lahū nahīñ

ki shahīd-e-rāh-e-malāl nahīñ ḳhūñ-bahā use bhuul

kyuuñ aTā huā hai ġhubār meñ ġham-e-zindagī ke fishār meñ

vo jo dard thā tire baḳht meñ so vo ho gayā use bhuul

tujhe chāñd ban ke milā thā jo tire sāhiloñ pe khilā thā jo

vo thā ek dariyā visāl so utar gayā use bhuul

kahan aa ke rukne the raste kahan moD tha use bhul ja

wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhul ja

wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain

dil-e-be-KHabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja

main to gum tha tere hi dhyan mein teri aas tere guman mein

saba kah gai mere kan mein mere sath aa use bhul ja

kisi aankh mein nahin ashk-e-gham tere baad kuchh bhi nahin hai kam

tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhul ja

kahin chaak-e-jaan ka rafu nahin kisi aastin pe lahu nahin

ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin KHun-baha use bhul ja

kyun aTa hua hai ghubar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein

wo jo dard tha tere baKHt mein so wo ho gaya use bhul ja

tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo

wo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Amjad Islam Amjad

Amjad Islam Amjad

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Fahad Husain

AMJAD ISLAM AMJAD - KAHAN AAKE RUKNE THE RASTE Fahad Husain

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now