Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae

Bashir Badr

hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae

Bashir Badr

hamārā dil savere sunahrā jaam ho jaa.e

charāġhoñ tarah āñkheñ jaleñ jab shaam ho jaa.e

kabhī to āsmāñ se chāñd utre jaam ho jaa.e

tumhāre naam ik ḳhūb-sūrat shaam ho jaa.e

ajab hālāt the yuuñ dil saudā ho gayā āḳhir

mohabbat havelī jis tarah nīlām ho jaa.e

samundar ke safar meñ is tarah āvāz de ham ko

havā.eñ tez hoñ aur kashtiyoñ meñ shaam ho jaa.e

mujhe mālūm hai us Thikānā phir kahāñ hogā

parinda āsmāñ chhūne meñ jab nākām ho jaa.e

ujāle apnī yādoñ ke hamāre saath rahne do

na jaane kis galī meñ zindagī shaam ho jaa.e

hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae

charaghon ki tarah aankhen jalen jab sham ho jae

kabhi to aasman se chand utre jam ho jae

tumhaare nam ki ek KHub-surat sham ho jae

ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aaKHir

mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jae

samundar ke safar mein is tarah aawaz de hum ko

hawaen tez hon aur kashtiyon mein sham ho jae

mujhe malum hai us ka Thikana phir kahan hoga

parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae

ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do

na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

RJ Sayema

RJ Sayema

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now