Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum to jaise wahan ke the hi nahin

Jaun Eliya

hum to jaise wahan ke the hi nahin

Jaun Eliya

ham to jaise vahāñ ke the nahīñ

be-amāñ the amaañ ke the nahīñ

ham ki haiñ terī dāstāñ yaksar

ham tirī dāstāñ ke the nahīñ

un ko āñdhī meñ bikharnā thā

baal o par āshiyāñ ke the nahīñ

ab hamārā makān kis hai

ham to apne makāñ ke the nahīñ

ho tirī ḳhāk-e-āstāñ pe salām

ham tire āstāñ ke the nahīñ

ham ne ranjish meñ ye nahīñ sochā

kuchh suḳhan to zabāñ ke the nahīñ

dil ne Daalā thā darmiyāñ jin ko

log vo darmiyāñ ke the nahīñ

us galī ne ye sun ke sabr kiyā

jaane vaale yahāñ ke the nahīñ

hum to jaise wahan ke the hi nahin

be-aman the aman ke the hi nahin

hum ki hain teri dastan yaksar

hum teri dastan ke the hi nahin

un ko aandhi mein hi bikharna tha

baal o par aashiyan ke the hi nahin

ab hamara makan kis ka hai

hum to apne makan ke the hi nahin

ho teri KHak-e-astan pe salam

hum tere aastan ke the hi nahin

hum ne ranjish mein ye nahin socha

kuchh suKHan to zaban ke the hi nahin

dil ne Dala tha darmiyan jin ko

log wo darmiyan ke the hi nahin

us gali ne ye sun ke sabr kiya

jaane wale yahan ke the hi nahin

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

hum to jaise wahan ke the hi nahin Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now