yaad karo jab raat hui thi
yaad karo jab raat huī thī
tum se koī baat huī thī
kah saktā thā kaun kisī se
vo shakl-e-hālāt huī thī
sab se naata toḌ ke yakjā
terī merī zaat huī thī
insānoñ ne haq māñgā thā
aur faqat ḳhairāt huī thī
us kī kam-āmezī se merī
tahzīb-e-jazbāt huī thī
marne vaalā ḳhud rūThā thā
yā nārāz hayāt huī thī
use zarā sā ḳhat likhne par
ḳharch tamām davāt huī thī
aaj 'shu.ūr' sabā kī aamad
kitnī baḌī sauġhāt huī thī
yaad karo jab raat hui thi
tum se koi baat hui thi
kah sakta tha kaun kisi se
wo shakl-e-haalat hui thi
sab se nata toD ke yakja
teri meri zat hui thi
insanon ne haq manga tha
aur faqat KHairaat hui thi
us ki kam-amezi se meri
tahzib-e-jazbaat hui thi
marne wala KHud ruTha tha
ya naraaz hayat hui thi
use zara sa KHat likhne par
KHarch tamam dawat hui thi
aaj 'shuur' saba ki aamad
kitni baDi saughat hui thi
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 38)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.