mujh par chalega us ka fusun aur chand roz
mujh par chalegā us kā fusūñ aur chand roz
yā'nī rahegā mujh pe junūñ aur chand roz
taaza haiñ zaḳhm-e-dil abhī bardāsht kar mujhe
gar tazkira maiñ us kā karūñ aur chand roz
bas ek vaj.h mujh ko batā us kī or se
kyuuñ intizār us kā karūñ aur chand roz
dil ban rahā hai phir se nayā ai mire ḳhudā
jaarī rahe ye kun-fayakūñ aur chand roz
kuchh ḳhvāb haiñ adhūre abhī tak mire yahāñ
chaltā rahe ye soz-e-darūñ aur chand roz
kuchh der ke liye hī sahī raushnī karūñ
kaash us kī rah-guzar meñ jalūñ aur chand roz
gauhar tire chaman meñ ho 'safdar' kī parvarish
maiñ kaash is chaman meñ rahūñ aur chand roz
mujh par chalega us ka fusun aur chand roz
ya'ni rahega mujh pe junun aur chand roz
taza hain zaKHm-e-dil abhi bardasht kar mujhe
gar tazkira main us ka karun aur chand roz
bas ek wajh mujh ko bata us ki or se
kyun intizar us ka karun aur chand roz
dil ban raha hai phir se naya ai mere KHuda
jari rahe ye kun-fayakun aur chand roz
kuchh KHwab hain adhure abhi tak mere yahan
chalta rahe ye soz-e-darun aur chand roz
kuchh der ke liye hi sahi raushni karun
kash us ki rah-guzar mein jalun aur chand roz
gauhar tere chaman mein ho 'safdar' ki parwarish
main kash is chaman mein rahun aur chand roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.