chaDhi parwan ana dil ki to yazdan bani
chaḌhī parvān anā dil kī to yazdān banī
huī bad-nām adā dil kī to shaitān banī
dil kī āvāz jo ubhrī to vo qur.ān banī
rasm-e-ulfat jo huī 'aam to īmān banī
daaġh mahke to tirī maañg ke vo phuul bane
aah āvāra huī zulf-e-pareshān banī
naala nikhrā to tirā qahqaha ban kar bikhrā
choT jo dil pe lagī she'r kā 'unvān banī
dard bahkā to tabassum tirā ban kar chahkā
yaad jo bhaḌkī to ash'ār kā dīvān banī
vaqt ke saath tujhe bhī jo badalte dekhā
kyā batā.ūñ tujhe kyā dil pe mirī jaan banī
chaDhi parwan ana dil ki to yazdan bani
hui bad-nam ada dil ki to shaitan bani
dil ki aawaz jo ubhri to wo quran bani
rasm-e-ulfat jo hui 'am to iman bani
dagh mahke to teri mang ke wo phul bane
aah aawara hui zulf-e-pareshan bani
nala nikhra to tera qahqaha ban kar bikhra
choT jo dil pe lagi she'r ka 'unwan bani
dard bahka to tabassum tera ban kar chahka
yaad jo bhaDki to ash'ar ka diwan bani
waqt ke sath tujhe bhi jo badalte dekha
kya bataun tujhe kya dil pe meri jaan bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.