kisi sabab se jo sara jahan TuTega
kisī sabab se jo saarā jahān TūTegā
to lāzmī hai tirā bhī makān TūTegā
anā kabhī na kabhī merī jaan TūTegī
bharam bhī man kā tabhī merī jaan TūTegā
ġhazab huā ye jo mujh par zamīn TuuT paḌī
maiñ intizār meñ thā āsmān TūTegā
tamām TūTte logoñ ke ek hone se
vo din bhī aa.egā jab hukmarān TūTegā
kisi sabab se jo sara jahan TuTega
to lazmi hai tera bhi makan TuTega
ana kabhi na kabhi meri jaan TuTegi
bharam bhi man ka tabhi meri jaan TuTega
ghazab hua ye jo mujh par zamin TuT paDi
main intizar mein tha aasman TuTega
tamam TuTte logon ke ek hone se
wo din bhi aaega jab hukmaran TuTega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.