wo jo diwar-e-ashnai thi
vo jo dīvār-e-āshnā.ī thī
apnī hī zaat kī ikaa.ī thī
maiñ sar-e-dasht-e-jāñ thā āvāra
aur ghar meñ bahār aa.ī thī
maile kapḌoñ kā apnā rañg bhī thā
phir bhī qismat meñ jag-hañsā.ī thī
ab to āñkhoñ meñ apnā chehra hai
kabhī shīshe se āshnā.ī thī
apnī hī zaat meñ thā maiñ mahfūz
aur phir ḳhud hī se laḌā.ī thī
apnī āvāz se bhī Dartā thā
haa.e kyā chiiz āshnā.ī thī
zindagī gard gard thī 'aḳhtar'
jaane luT kar kahāñ se aa.ī thī
wo jo diwar-e-ashnai thi
apni hi zat ki ikai thi
main sar-e-dasht-e-jaan tha aawara
aur ghar mein bahaar aai thi
maile kapDon ka apna rang bhi tha
phir bhi qismat mein jag-hansai thi
ab to aankhon mein apna chehra hai
kabhi shishe se aashnai thi
apni hi zat mein tha main mahfuz
aur phir KHud hi se laDai thi
apni aawaz se bhi Darta tha
hae kya chiz aashnai thi
zindagi gard gard thi 'aKHtar'
jaane luT kar kahan se aai thi
- Book : Dariche (Pg. 18)
- Author : Bashir Saifi
- Publication : Shakhsar Publishers (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.