Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ada-e-dilbari ho ki nawa-e-ashiqana

Jigar Moradabadi

wo ada-e-dilbari ho ki nawa-e-ashiqana

Jigar Moradabadi

vo adā-e-dilbarī ho ki navā-e-āshiqāna

jo diloñ ko fat.h kar le vahī fāteh-e-zamāna

kabhī husn tabī.at na badal sakā zamāna

vahī nāz-e-be-niyāzī vahī shān-e-ḳhusravāna

ye tirā jamāl-e-kāmil ye shabāb zamāna

dil-e-dushmanāñ salāmat dil-e-dostāñ nishāna

ye falak ye māh-o-anjum ye zamīn ye zamāna

tire husn hikāyat mire ishq fasāna

ye hai ishq karāmat ye kamāl-e-shā.irāna

abhī muñh se baat niklī abhī ho ga.ī fasāna

ye mirā payām kahnā sabā muaddabāna

ki guzar gayā hai pyāre tujhe dekhe ik zamāna

mujhe chāk-e-jeb-o-dāman se nahīñ munāsibat kuchh

ye junūñ ko mubārak rah-o-rasm-e-āmiyāna

tujhe hādsāt-e-paiham se bhī kyā milegā nādāñ

tirā dil agar ho zinda to nafas bhī tāziyāna

maiñ huuñ us maqām par ab ki firāq o vasl kaise

mirā ishq bhī kahānī tirā husn bhī fasāna

mirī zindagī to guzrī tire hijr ke sahāre

mirī maut ko bhī pyāre koī chāhiye bahāna

tire ishq karāmat ye agar nahīñ to kyā hai

kabhī be-adab na guzrā mire paas se zamāna

tirī duurī o huzūrī ye hai ajiib aalam

abhī zindagī haqīqat abhī zindagī fasāna

mire ham-safīr bulbul mirā terā saath kyā

maiñ zamīr-e-dasht-o-dariyā asīr-e-āshiyāna

maiñ vo saaf na kah duuñ jo hai farq mujh meñ tujh meñ

tirā dard dard-e-tanhā mirā ġham ġham-e-zamāna

tire dil ke TūTne par hai kisī ko naaz kyā kyā

tujhe ai 'jigar' mubārak ye shikast-e-fātehāna

wo ada-e-dilbari ho ki nawa-e-ashiqana

jo dilon ko fath kar le wahi fateh-e-zamana

kabhi husn ki tabiat na badal saka zamana

wahi naz-e-be-niyazi wahi shan-e-KHusrawana

ye tera jamal-e-kaamil ye shabab ka zamana

dil-e-dushmanan salamat dil-e-dostan nishana

ye falak ye māh-o-anjum ye zamīn ye zamāna

tere husn hikāyat mere ishq fasāna

ye hai ishq karāmat ye kamāl-e-shāirāna

abhī muñh se baat niklī abhī ho gaī fasāna

ye mirā payām kahnā sabā muaddabāna

ki guzar gayā hai pyāre tujhe dekhe ek zamāna

mujhe chāk-e-jeb-o-dāman se nahīñ munāsibat kuchh

ye junūñ ko mubārak rah-o-rasm-e-āmiyāna

tujhe hādsāt-e-paiham se bhī kyā milegā nādāñ

tirā dil agar ho zinda to nafas bhī tāziyāna

main hun us maqam par ab ki firaq o wasl kaise

mera ishq bhi kahani tera husn bhi fasana

meri zindagi to guzri tere hijr ke sahaare

meri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana

tere ishq ki karamat ye agar nahin to kya hai

kabhi be-adab na guzra mere pas se zamana

teri duri o huzuri ka ye hai ajib aalam

abhi zindagi haqiqat abhi zindagi fasana

mere ham-safir bulbul mera tera sath hi kya

main zamir-e-dasht-o-dariya tu asir-e-ashiyana

main wo saf hi na kah dun jo hai farq mujh mein tujh mein

tera dard dard-e-tanha mera gham gham-e-zamana

tere dil ke TuTne par hai kisi ko naz kya kya

tujhe ai 'jigar' mubarak ye shikast-e-fatehana

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Begum Akhtar

Begum Akhtar

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

wo ada-e-dilbari ho ki nawa-e-ashiqana Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now