wo aag hun ki nahin chain ek aan mujhe
vo aag huuñ ki nahīñ chain ek aan mujhe
jo din gayā to milī raat kī kamān mujhe
vo kaun hai ki jise āsmāñ meñ DhūñDtā huuñ
palaT ke dekhtā kyuuñ hai ye āsmān mujhe
ye kaisī baat huī hai ki dekh kar ḳhush hai
vo āñsuoñ ke samundar ke darmiyān mujhe
yahīñ pe chhoḌ gayā thā use yahīñ hogā
sukūt-e-ḳhvāb hai āvāz kā nishān mujhe
vo muntaqim huuñ ki sholoñ kā khel kheltā huuñ
mirī kamīngī detī hai dāstān mujhe
maiñ apnī āñkhoñ se apnā zavāl dekhtā huuñ
maiñ bevafā huuñ magar be-ḳhabar na jaan mujhe
wo aag hun ki nahin chain ek aan mujhe
jo din gaya to mili raat ki kaman mujhe
wo kaun hai ki jise aasman mein DhunDta hun
palaT ke dekhta kyun hai ye aasman mujhe
ye kaisi baat hui hai ki dekh kar KHush hai
wo aansuon ke samundar ke darmiyan mujhe
yahin pe chhoD gaya tha use yahin hoga
sukut-e-KHwab hai aawaz ka nishan mujhe
wo muntaqim hun ki sholon ka khel khelta hun
meri kamingi deti hai dastan mujhe
main apni aankhon se apna zawal dekhta hun
main bewafa hun magar be-KHabar na jaan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.