wasl ka uske dil-e-zar tamannai hai
vasl kā us ke dil-e-zār tamannā.ī hai
na mulāqāt hai jis se na shanāsā.ī hai
qat.a ummīd ne dil kar diye yaksū sad shukr
shakl muddat meñ ye allāh ne dikhlā.ī hai
quvvat-e-dast-e-ḳhudā.ī hai shakebā.ī meñ
vaqt jab aa ke paḌā hai yahī kaam aa.ī hai
Dar nahīñ ġhair kā jo kuchh hai so apnā Dar hai
ham ne jab khaa.ī hai apne hī se zak khaa.ī hai
nashe meñ chuur na hoñ jhāñjh meñ maḳhmūr na hoñ
pand ye pīr-e-ḳharābāt ne farmā.ī hai
nazar aatī nahīñ ab dil meñ tamannā koī
baad muddat ke tamannā mirī bar aa.ī hai
baat sachchī kahī aur uñgliyāñ uTThīñ sab kī
sach meñ 'hālī' koī rusvā.ī sī rusvā.ī hai
wasl ka us ke dil-e-zar tamannai hai
na mulaqat hai jis se na shanasai hai
qata ummid ne dil kar diye yaksu sad shukr
shakl muddat mein ye allah ne dikhlai hai
quwwat-e-dast-e-KHudai hai shakebai mein
waqt jab aa ke paDa hai yahi kaam aai hai
Dar nahin ghair ka jo kuchh hai so apna Dar hai
hum ne jab khai hai apne hi se zak khai hai
nashe mein chur na hon jhanjh mein maKHmur na hon
pand ye pir-e-KHarabaat ne farmai hai
nazar aati nahin ab dil mein tamanna koi
baad muddat ke tamanna meri bar aai hai
baat sachchi kahi aur ungliyan uTThin sab ki
sach mein 'haali' koi ruswai si ruswai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.