wajh-e-qadr-o-qimat-e-dil husn ki tanwir hai
vaj.h-e-qadr-o-qīmat-e-dil husn kī tanvīr hai
varna ik TuuTe hue shīshe kī kyā tauqīr hai
kuchh tabassum zer-e-lab par sharm dāman-gīr hai
uf ye kis aalam meñ khiñchvā.ī huī tasvīr hai
ik nazar dekhā jise mad.hosh-o-be-ḳhud kar diyā
terī kaif-āgīñ nigāhoñ meñ ajab tāsīr hai
kitnī dil-kash haiñ tirī tasvīr kī ra.anā.iyāñ
lekin ai parda-nashīñ tasvīr phir tasvīr hai
phūñk de barq-e-tapāñ merā qafas bhī phūñk de
āshiyāñ kī bhī to ik bigḌī huī tasvīr hai
lan-tarānī kah diyā thā tuur par jis ne 'shakīl'
zarre zarre meñ usī ke husn kī tasvīr hai
wajh-e-qadr-o-qimat-e-dil husn ki tanwir hai
warna ek TuTe hue shishe ki kya tauqir hai
kuchh tabassum zer-e-lab par sharm daman-gir hai
uf ye kis aalam mein khinchwai hui taswir hai
ek nazar dekha jise madhosh-o-be-KHud kar diya
teri kaif-agin nigahon mein ajab tasir hai
kitni dil-kash hain teri taswir ki ranaiyan
lekin ai parda-nashin taswir phir taswir hai
phunk de barq-e-tapan mera qafas bhi phunk de
aashiyan ki bhi to ek bigDi hui taswir hai
lan-tarani kah diya tha tur par jis ne 'shakil'
zarre zarre mein usi ke husn ki taswir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.