guzre jo apne yaron ki sohbat mein chaar din
guzre jo apne yāroñ kī sohbat meñ chaar din
aisā lagā basar hue jannat meñ chaar din
umr-e-ḳhizar kī us ko tamannā kabhī na ho
insān jī sake jo mohabbat meñ chaar din
jab tak jiye nibhā.eñge ham un se dostī
apne rahe jo dost musībat meñ chaar din
ai jān-e-ārzū vo qayāmat se kam na the
kaaTe tire baġhair jo ġhurbat meñ chaar din
phir umr bhar kabhī na sukūñ pā sakā ye dil
kaTne the jo bhī kaT ga.e rāhat meñ chaar din
jo faqr meñ surūr hai shāhī meñ vo kahāñ
ham bhī rahe haiñ nashsha-e-daulat meñ chaar din
us aag ne jalā ke ye dil raakh kar diyā
uThte the 'josh' sho.ale jo vahshat meñ chaar din
guzre jo apne yaron ki sohbat mein chaar din
aisa laga basar hue jannat mein chaar din
umr-e-KHizar ki us ko tamanna kabhi na ho
insan ji sake jo mohabbat mein chaar din
jab tak jiye nibhaenge hum un se dosti
apne rahe jo dost musibat mein chaar din
ai jaan-e-arzu wo qayamat se kam na the
kaTe tere baghair jo ghurbat mein chaar din
phir umr bhar kabhi na sukun pa saka ye dil
kaTne the jo bhi kaT gae rahat mein chaar din
jo faqr mein surur hai shahi mein wo kahan
hum bhi rahe hain nashsha-e-daulat mein chaar din
us aag ne jala ke ye dil rakh kar diya
uThte the 'josh' shoale jo wahshat mein chaar din
- Book : Pakistani Adab (Pg. 369)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.