Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use to pas-e-KHulus-e-wafa zara bhi nahin

Anwar Masood

use to pas-e-KHulus-e-wafa zara bhi nahin

Anwar Masood

MORE BYAnwar Masood

    use to pās-e-ḳhulūs-e-vafā zarā bhī nahīñ

    magar ye aas rishta ki TūTtā bhī nahīñ

    ghire hue haiñ ḳhamoshī barf meñ kab se

    kisī ke paas koī tesha-e-sadā bhī nahīñ

    ma.āl-e-ġhunch-o-gul hai mirī nigāhoñ meñ

    mujhe tabassum-e-kāzib hausla bhī nahīñ

    tulū-e-sub.h-e-azal se maiñ DhūñDhtā thā jise

    milā to hai pa mirī samt dekhtā bhī nahīñ

    mirī sadā se bhī raftār tez thī us

    mujhe gila bhī nahīñ hai jo vo rukā bhī nahīñ

    bikhar ga.ī hai nigāhoñ raushnī varna

    nazar na aa.e vo itnā to fāsla bhī nahīñ

    sunā hai aaj mauzū-e-majlis-e-tanqīd

    vo sher hai ki abhī maiñ ne jo kahā bhī nahīñ

    simaT rahe haiñ sitāroñ ke fāsle 'anvar'

    paḌosiyoñ ko magar koī jāntā bhī nahīñ

    use to pas-e-KHulus-e-wafa zara bhi nahin

    magar ye aas ka rishta ki TuTta bhi nahin

    ghire hue hain KHamoshi ki barf mein kab se

    kisi ke pas koi tesha-e-sada bhi nahin

    maal-e-ghunch-o-gul hai meri nigahon mein

    mujhe tabassum-e-kazib ka hausla bhi nahin

    tulu-e-subh-e-azal se main DhunDhta tha jise

    mila to hai pa meri samt dekhta bhi nahin

    meri sada se bhi raftar tez thi us ki

    mujhe gila bhi nahin hai jo wo ruka bhi nahin

    bikhar gai hai nigahon ki raushni warna

    nazar na aae wo itna to fasla bhi nahin

    suna hai aaj ka mauzu-e-majlis-e-tanqid

    wo sher hai ki abhi main ne jo kaha bhi nahin

    simaT rahe hain sitaron ke fasle 'anwar'

    paDosiyon ko magar koi jaanta bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now