use chhute hue bhi Dar raha tha
use chhūte hue bhī Dar rahā thā
vo merā pahlā pahlā tajraba thā
agarche dukh hamāre mushtarak the
magar jo do diloñ meñ fāsla thā
kabhī ik dūsre par khul na paa.e
hamāre darmiyāñ ik tīsrā thā
vo ik din jaane kis ko yaad kar ke
mire siine se lag ke ro paḌā thā
use bhī pyaar thā ik ajnabī se
mire bhī dhyān meñ ik dūsrā thā
bichhaḌte vaqt us ko fikr kyuuñ thī
basar karnī to merā mas.ala thā
vo jab samjhā mujhe us vaqt 'anjum'
mirā me.aar hī badlā huā thā
use chhute hue bhi Dar raha tha
wo mera pahla pahla tajraba tha
agarche dukh hamare mushtarak the
magar jo do dilon mein fasla tha
kabhi ek dusre par khul na pae
hamare darmiyan ek tisra tha
wo ek din jaane kis ko yaad kar ke
mere sine se lag ke ro paDa tha
use bhi pyar tha ek ajnabi se
mere bhi dhyan mein ek dusra tha
bichhaDte waqt us ko fikr kyun thi
basar karni to mera masala tha
wo jab samjha mujhe us waqt 'anjum'
mera mear hi badla hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.