Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi

Rahat Indori

use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi

Rahat Indori

MORE BYRahat Indori

    use ab ke vafāoñ se guzar jaane jaldī thī

    magar is baar mujh ko apne ghar jaane jaldī thī

    irāda thā ki maiñ kuchh der tūfāñ maza letā

    magar bechāre dariyā ko utar jaane jaldī thī

    maiñ apnī muTThiyoñ meñ qaid kar letā zamīnoñ ko

    magar mere qabīle ko bikhar jaane jaldī thī

    maiñ āḳhir kaun mausam tumhāre naam kar detā

    yahāñ har ek mausam ko guzar jaane jaldī thī

    vo shāḳhoñ se judā hote hue pattoñ pe hañste the

    baḌe zinda-nazar the jin ko mar jaane jaldī thī

    maiñ sābit kis tarah kartā ki har ā.īna jhūTā hai

    ka.ī kam-zarf chehroñ ko utar jaane jaldī thī

    use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi

    magar is bar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi

    irada tha ki main kuchh der tufan ka maza leta

    magar bechaare dariya ko utar jaane ki jaldi thi

    main apni muTThiyon mein qaid kar leta zaminon ko

    magar mere qabile ko bikhar jaane ki jaldi thi

    main aaKHir kaun sa mausam tumhaare nam kar deta

    yahan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi

    wo shaKHon se juda hote hue patton pe hanste the

    baDe zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi

    main sabit kis tarah karta ki har aaina jhuTa hai

    kai kam-zarf chehron ko utar jaane ki jaldi thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now