Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski aankhon ka koi KHwab nahin ho pae

Komal Joya

uski aankhon ka koi KHwab nahin ho pae

Komal Joya

us āñkhoñ koī ḳhvāb nahīñ ho paa.e

hans the vāqif-e-tālāb nahīñ ho paa.e

girya-e-ġham harārat se pighalte hue ashk

sard lahjoñ se bhī barfāb nahīñ ho paa.e

tum ne bhar ke mohabbat 'ināyat thī

dasht phir dasht the sairāb nahīñ ho paa.e

hijr ne taur tarīqe to sikhā.e ġham ke

ham magar mā.il-e-ādāb nahīñ ho paa.e

ek din tujh ko āchānak ye ḳhabar aa.egī

tere bīmār shifā-yāb nahīñ ho paa.e

mujh pe kyā aatā gul-e-surḳh mausam 'komal'

jab mire peḌ shādāb nahīñ ho paa.e

us ki aankhon ka koi KHwab nahin ho pae

hans the waqif-e-talab nahin ho pae

girya-e-gham ki hararat se pighalte hue ashk

sard lahjon se bhi barfab nahin ho pae

tum ne ji bhar ke mohabbat ki 'inayat ki thi

dasht phir dasht the sairab nahin ho pae

hijr ne taur tariqe to sikhae gham ke

hum magar mail-e-adab nahin ho pae

ek din tujh ko aachanak ye KHabar aaegi

tere bimar shifa-yab nahin ho pae

mujh pe kya aata gul-e-surKH ka mausam 'komal'

jab mere peD hi shadab nahin ho pae

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now