Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath

Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan

us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath

Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan

MORE BYMazhar Mirza Jaan-e-Janaan

    us gul ko bhejnā hai mujhe ḳhat sabā ke haath

    is vāste lagā huuñ chaman havā ke haath

    barg-e-hinā uupar likho ahvāl-e-dil mirā

    shāyad ki lage vo kisī mīrzā ke haath

    āzād ho rahā huuñ do aalam qaid se

    miinā lagā hai jab se ki kuchh be-navā ke haath

    martā huuñ mīrzā.i-e-gul dekh har sahar

    sūraj ke haath chunarī to pañkhā sabā ke haath

    'maz.har' chhupā ke rakh dil-e-nāzuk ko apne

    ye shīsha bechnā hai kisī mīrzā ke haath

    us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath

    is waste laga hun chaman ki hawa ke hath

    barg-e-hina upar likho ahwal-e-dil mera

    shayad ki ja lage wo kisi mirza ke hath

    aazad ho raha hun do aalam ki qaid se

    mina laga hai jab se ki kuchh be-nawa ke hath

    marta hun mirzai-e-gul dekh har sahar

    suraj ke hath chunari to pankha saba ke hath

    'mazhar' chhupa ke rakh dil-e-nazuk ko apne tu

    ye shisha bechna hai kisi mirza ke hath

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now