Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr be-wajh guzare bhi nahin ja sakte

Farhat Ehsas

umr be-wajh guzare bhi nahin ja sakte

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    umr be-vaj.h guzāre bhī nahīñ sakte

    itne zinda haiñ ki maare bhī nahīñ sakte

    haal ab ye hai ki dariyā meñ bhī lagtā nahīñ

    aur kisī ek kināre bhī nahīñ sakte

    us jagah ke vo baiThā hai bharī mahfil meñ

    ab jahāñ mere ishāre bhī nahīñ sakte

    zeb-tan itne kiye dil ne havas ke malbūs

    ki shab-e-vasl utāre bhī nahīñ sakte

    niiñd se us ko jagānā bhī zarūrī hai bahut

    rāt-bhar us ko pukāre bhī nahīñ sakte

    saarī shakloñ se pare hai vo hamārā mahbūb

    so tasavvur ke sahāre bhī nahīñ sakte

    jītne na koī shauq na taufīq hameñ

    lekin is tarah to haare bhī nahīñ sakte

    falak-e-ishq pe tā-der Thaharnā hai muhāl

    is bulandī se utāre bhī nahīñ sakte

    farhat-ehsās tujhe man.a hai jaanā us tak

    kyā tire ḳhuun ke dhāre bhī nahīñ sakte

    umr be-wajh guzare bhi nahin ja sakte

    itne zinda hain ki mare bhi nahin ja sakte

    haal ab ye hai ki dariya mein bhi lagta nahin ji

    aur kisi ek kinare bhi nahin ja sakte

    us jagah ja ke wo baiTha hai bhari mahfil mein

    ab jahan mere ishaare bhi nahin ja sakte

    zeb-tan itne kiye dil ne hawas ke malbus

    ki shab-e-wasl utare bhi nahin ja sakte

    nind se us ko jagana bhi zaruri hai bahut

    raat-bhar us ko pukare bhi nahin ja sakte

    sari shaklon se pare hai wo hamara mahbub

    so tasawwur ke sahaare bhi nahin ja sakte

    jitne ka na koi shauq na taufiq hamein

    lekin is tarah to haare bhi nahin ja sakte

    falak-e-ishq pe ta-der Thaharna hai muhaal

    is bulandi se utare bhi nahin ja sakte

    farhat-ehsas tujhe mana hai jaana us tak

    kya tere KHun ke dhaare bhi nahin ja sakte

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Farhat Ehsas

    Farhat Ehsas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now