Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTa hai purana sada pul lafzon ka

Khaleel Mamoon

TuTa hai purana sada pul lafzon ka

Khaleel Mamoon

MORE BYKhaleel Mamoon

    TuuTā hai purānā saada pul lafzoñ

    ab rishta hai duniyā se faqat āñkhoñ

    vo bhuul ga.e haiñ to ajab kyā is meñ

    thā khel ye to guzre hue lamhoñ

    ik lamhe meñ sab ḳhatm hai maazī ho ki haal

    yādoñ ḳhazāna thā bahut barsoñ

    sab log hameñ ek nazar aate haiñ

    andāza nahīñ hotā hai ab chehroñ

    'māmūn' haiñ bāteñ havā jhoñkā

    ham ko to bharosa nahīñ bātoñ

    TuTa hai purana sada pul lafzon ka

    ab rishta hai duniya se faqat aankhon ka

    wo bhul gae hain to ajab kya is mein

    tha khel ye to guzre hue lamhon ka

    ek lamhe mein sab KHatm hai mazi ho ki haal

    yaadon ka KHazana tha bahut barson ka

    sab log hamein ek nazar aate hain

    andaza nahin hota hai ab chehron ka

    'mamun' hain baaten hawa ka jhonka

    hum ko to bharosa hi nahin baaton ka

    Source :
    • Book : Sanson Ke Paar (Pg. 235)
    • Author : Khalil Mamoon
    • Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now