tu ne mahjur kar diya hum ko
tū ne mahjūr kar diyā ham ko
saḳht ranjūr kar diyā ham ko
apnī barq-e-nigāh se tum ne
shajar-e-tūr kar diyā ham ko
dil banā āshiqī meñ ḳhud-muḳhtār
aur majbūr kar diyā ham ko
aisī tārīf kī ki ai vaa.iz
āshiq-e-hūr kar diyā ham ko
ġham nahīñ mohtasib jo toḌ ke ḳhum
nashshe ne chuur kar diyā ham ko
jis qadar ham se tum hue nazdīk
us qadar duur kar diyā ham ko
kabhī bār-e-ġham-e-firāq utaar
tū ne mazdūr kar diyā ham ko
ho gayā mai se nasha-e-irfān
naar ne nuur kar diyā ham ko
the to maqhūr hone ke laa.eq
baare maġhfūr kar diyā ham ko
tu ne mahjur kar diya hum ko
saKHt ranjur kar diya hum ko
apni barq-e-nigah se tum ne
shajar-e-tur kar diya hum ko
dil bana aashiqi mein KHud-muKHtar
aur majbur kar diya hum ko
aisi tarif ki ki ai waiz
aashiq-e-hur kar diya hum ko
gham nahin mohtasib jo toD ke KHum
nashshe ne chur kar diya hum ko
jis qadar hum se tum hue nazdik
us qadar dur kar diya hum ko
kabhi bar-e-gham-e-firaq utar
tu ne mazdur kar diya hum ko
ho gaya mai se nasha-e-irfan
nar ne nur kar diya hum ko
the to maqhur hone ke laeq
bare maghfur kar diya hum ko
- Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 174)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.