Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaara kya tumhein aasan bahut raste badalna hai

Jaleel 'Aali'

tumhaara kya tumhein aasan bahut raste badalna hai

Jaleel 'Aali'

MORE BYJaleel 'Aali'

    tumhārā kyā tumheñ āsāñ bahut raste badalnā hai

    hameñ har ek mausam qāfile ke saath chalnā hai

    bas ik Dhalvān hai jis par luḌhakte rahe haiñ ham

    hameñ jaane nasheboñ meñ kahāñ kar sambhalnā hai

    ham is Dar se koī sūraj chamakne nahīñ dete

    ki jaane shab ke añdhiyāroñ se kyā manzar nikalnā hai

    hamāre dil-jazīre par utartā nahīñ koī

    kaheñ kis se ki is miTTī ne kis sāñche meñ Dhalnā hai

    nigāheñ pūchhtī phirtī haiñ āvāra havāoñ se

    zamīnoñ ne zamānoñ ḳhazāna kab ugalnā hai

    kisī ma.asūm se jhoñke ik halkī dastak par

    inhī patthar pahāḌoñ se koī chashma ubalnā hai

    tumhaara kya tumhein aasan bahut raste badalna hai

    hamein har ek mausam qafile ke sath chalna hai

    bas ek Dhalwan hai jis par luDhakte ja rahe hain hum

    hamein jaane nashebon mein kahan ja kar sambhalna hai

    hum is Dar se koi suraj chamakne hi nahin dete

    ki jaane shab ke andhiyaron se kya manzar nikalna hai

    hamare dil-jazire par utarta hi nahin koi

    kahen kis se ki is miTTi ne kis sanche mein Dhalna hai

    nigahen puchhti phirti hain aawara hawaon se

    zaminon ne zamanon ka KHazana kab ugalna hai

    kisi masum se jhonke ki ek halki si dastak par

    inhi patthar pahaDon se koi chashma ubalna hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now