phulon ki aarzu mein baDe zaKHm khae hain
phūloñ kī aarzū meñ baḌe zaḳhm khaa.e haiñ
lekin chaman ke ḳhaar bhī ab tak parā.e haiñ
us par harām haiñ ġham-e-daurāñ kī talḳhiyāñ
jis ke nasīb meñ tirī zulfoñ ke saa.e haiñ
raushan kiye haiñ dil meñ tamannāoñ ke charāġh
vīrān bastiyoñ meñ musāfir basā.e haiñ
mahshar meñ le ga.ī thī tabī'at kī sādgī
lekin baḌe ḳhulūs se ham lauT aa.e haiñ
aayā huuñ yaad bā'd-e-fanā un ko ai 'adam'
kyā jald mere sidq pe īmān laa.e haiñ
phulon ki aarzu mein baDe zaKHm khae hain
lekin chaman ke KHar bhi ab tak parae hain
us par haram hain gham-e-dauran ki talKHiyan
jis ke nasib mein teri zulfon ke sae hain
raushan kiye hain dil mein tamannaon ke charagh
viran bastiyon mein musafir basae hain
mahshar mein le gai thi tabi'at ki sadgi
lekin baDe KHulus se hum lauT aae hain
aaya hun yaad ba'd-e-fana un ko ai 'adam'
kya jald mere sidq pe iman lae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.