Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

toD di usne wo zanjir hi dildari ki

Irfan Siddiqi

toD di usne wo zanjir hi dildari ki

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    toḌ us ne vo zanjīr dildārī

    aur tash.hīr karo apnī giraftārī

    ham to sahrā hue jaate the ki us ne aa kar

    shahr ābād kiyā nahr-e-sabā jaarī

    ham bhī kyā shai haiñ tabī.at milī sayyāra-shikār

    aur taqdīr milī āhū-e-tātārī

    itnā saada hai mirā māya-e-ḳhūbī ki mujhe

    kabhī aadat na rahī ā.ina-bardārī

    mire gum-gashta ġhazāloñ pata pūchhtā hai

    fikr rakhtā hai masīhā mirī bīmārī

    us ke lahje meñ koī chiiz to shāmil thī ki aaj

    dil pe is harf-e-ināyat ne girāñ-bārī

    toD di us ne wo zanjir hi dildari ki

    aur tashhir karo apni giraftari ki

    hum to sahra hue jate the ki us ne aa kar

    shahr aabaad kiya nahr-e-saba jari ki

    hum bhi kya shai hain tabiat mili sayyara-shikar

    aur taqdir mili aahu-e-tatari ki

    itna sada hai mera maya-e-KHubi ki mujhe

    kabhi aadat na rahi aaina-bardari ki

    mere gum-gashta ghazalon ka pata puchhta hai

    fikr rakhta hai masiha meri bimari ki

    us ke lahje mein koi chiz to shamil thi ki aaj

    dil pe is harf-e-inayat ne giran-bari ki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    toD di usne wo zanjir hi dildari ki Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now