Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tham gaya dard ujala hua tanhai mein

Ahmad Mushtaq

tham gaya dard ujala hua tanhai mein

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    tham gayā dard ujālā huā tanhā.ī meñ

    barq chamkī hai kahīñ raat gahrā.ī meñ

    baaġh baaġh lahū rañg huā jaatā hai

    vaqt masrūf hai kaisī chaman-ārā.ī meñ

    shahr vīrān hue bahr bayābān hue

    ḳhaak uḌtī hai dar o dasht pahnā.ī meñ

    ek lamhe meñ bikhar jaatā hai tānā-bānā

    aur phir umr guzar jaatī hai yakjā.ī meñ

    us tamāshe meñ nahīñ dekhne vaalā koī

    is tamāshe ko jo barpā hai tamāshā.ī meñ

    tham gaya dard ujala hua tanhai mein

    barq chamki hai kahin raat ki gahrai mein

    bagh ka bagh lahu rang hua jata hai

    waqt masruf hai kaisi chaman-arai mein

    shahr viran hue bahr bayaban hue

    KHak uDti hai dar o dasht ki pahnai mein

    ek lamhe mein bikhar jata hai tana-bana

    aur phir umr guzar jati hai yakjai mein

    us tamashe mein nahin dekhne wala koi

    is tamashe ko jo barpa hai tamashai mein

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tham gaya dard ujala hua tanhai mein Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now