Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tez ho jata hai KHushbu ka safar sham ke baad

Krishn Bihari Noor

tez ho jata hai KHushbu ka safar sham ke baad

Krishn Bihari Noor

MORE BYKrishn Bihari Noor

    tez ho jaatā hai ḳhushbū safar shaam ke baad

    phuul shahroñ meñ bhī khilte haiñ magar shaam ke baad

    us se daryāft na karnā kabhī din ke hālāt

    sub.h bhūlā jo lauT aayā ho ghar shaam ke baad

    din tire hijr meñ kaT jaatā hai jaise-taise

    mujh se rahtī hai ḳhafā merī nazar shaam ke baad

    qad se baḌh jaa.e jo saaya to burā lagtā hai

    apnā sūraj vo uThā letā hai har shaam ke baad

    tum na kar pāoge andāza tabāhī mirī

    tum ne dekhā nahīñ koī shajar shaam ke baad

    mere baare meñ koī kuchh bhī kahe sab manzūr

    mujh ko rahtī nahīñ apnī ḳhabar shaam ke baad

    yahī milne samay bhī hai bichhaḌne bhī

    mujh ko lagtā hai bahut apne se Dar shaam ke baad

    tīrgī ho to vajūd us chamaktā hai bahut

    DhūñD to lūñgā use 'nūr' magar shaam ke baad

    tez ho jata hai KHushbu ka safar sham ke baad

    phul shahron mein bhi khilte hain magar sham ke baad

    us se daryaft na karna kabhi din ke haalat

    subh ka bhula jo lauT aaya ho ghar sham ke baad

    din tere hijr mein kaT jata hai jaise-taise

    mujh se rahti hai KHafa meri nazar sham ke baad

    qad se baDh jae jo saya to bura lagta hai

    apna suraj wo uTha leta hai har sham ke baad

    tum na kar paoge andaza tabahi ka meri

    tum ne dekha hi nahin koi shajar sham ke baad

    mere bare mein koi kuchh bhi kahe sab manzur

    mujh ko rahti hi nahin apni KHabar sham ke baad

    yahi milne ka samay bhi hai bichhaDne ka bhi

    mujh ko lagta hai bahut apne se Dar sham ke baad

    tirgi ho to wajud us ka chamakta hai bahut

    DhunD to lunga use 'nur' magar sham ke baad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now