tera ghar aur mera jangal bhigta hai sath sath
terā ghar aur merā jañgal bhīgtā hai saath saath
aisī barsāteñ ki bādal bhīgtā hai saath saath
bachpane kā saath hai phir ek se donoñ ke dukh
raat kā aur merā āñchal bhīgtā hai saath saath
vo ajab duniyā ki sab ḳhanjar-ba-kaf phirte haiñ aur
kāñch ke pyāloñ meñ sandal bhīgtā hai saath saath
bārish-e-sañg-e-malāmat meñ bhī vo hamrāh hai
maiñ bhī bhīgūñ ḳhud bhī pāgal bhīgtā hai saath saath
laḌkiyoñ ke dukh ajab hote haiñ sukh us se ajiib
hañs rahī haiñ aur kājal bhīgtā hai saath saath
bārisheñ jaaḌe kī aur tanhā bahut merā kisān
jism aur iklautā kambal bhīgtā hai saath saath
tera ghar aur mera jangal bhigta hai sath sath
aisi barsaten ki baadal bhigta hai sath sath
bachpane ka sath hai phir ek se donon ke dukh
raat ka aur mera aanchal bhigta hai sath sath
wo ajab duniya ki sab KHanjar-ba-kaf phirte hain aur
kanch ke pyalon mein sandal bhigta hai sath sath
barish-e-sang-e-malamat mein bhi wo hamrah hai
main bhi bhigun KHud bhi pagal bhigta hai sath sath
laDkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajib
hans rahi hain aur kajal bhigta hai sath sath
barishen jaDe ki aur tanha bahut mera kisan
jism aur iklauta kambal bhigta hai sath sath
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khshboo) (Pg. 164)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.