taswir-e-zulf-o-ariz-e-gulfam le gaya
tasvīr-e-zulf-o-āriz-e-gulfām le gayā
murġhān-e-quds ke liye gul-dām le gayā
duniyā se dāġh-e-zulf-e-siyah-fām le gayā
maiñ gor meñ charāġh sar-e-shām le gayā
kī tark maiñ ne shaiḳh-o-barahman kī pairvī
dair-o-haram meñ mujh ko tirā naam le gayā
kyā kyā dikhā.ī sair-e-safed-o-siyāh-e-dahr
kis kis taraf ko ablaq-e-ayyām le gayā
e.ajāz maiñ ne raj.at-e-ḳhurshīd kā kiyā
bālā-e-bām us ko sar-e-shām le gayā
bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram meñ ham
is samt kufr us taraf islām le gayā
chehle ke gul chaḌhā.e koī merī qabr par
maiñ ārzū-e-vasl-e-gul-andām le gayā
pistān-e-nau-damīda ne malvā.e ḳhuub haath
maiñ dāġh-e-hasrat-e-samar-e-ḳhām le gayā
dīdār dostān-e-vatan kā dikhā diyā
mujh ko adam meñ ablaq-e-ayyam le gayā
pahnā kafan to kūcha-e-qātil maiñ paa.ī raah
ka.abe meñ mujh ko jāma-e-ehrām le gayā
rāh-e-adam meñ sair-e-charāġhāñ nazar paḌī
turbat meñ dāġh-e-ġham dil-e-nākām le gayā
dozaḳh meñ jal gayā kabhī jannat meñ ḳhush rahā
mar kar bhī saath gardish-e-ayyām le gayā
nafrat huī do-rañgī-e-lail-o-nahār se
maiñ sub.h-o-shām us ko lab-e-bām le gayā
zer-e-zamīñ ġhurūb huā āftāb aaj
turbat meñ daaġh bāda-e-gulfām le gayā
tīr-e-sitam se mil ke uḌā jānib-e-adam
par aap ke ḳhadañg se maiñ daam le gayā
maiñ justujū-e-kufr meñ pahuñchā ḳhudā ke paas
ka.abe tak un butoñ kā mujhe naam le gayā
saaqī ke paas vus.at-e-mashrab ne raah dī
maiñ kāsa-e-falak evaz-e-jām le gayā
kuchh lutf ishq kā na milā jīte-jī 'munīr'
nāhaq kā rañj muft kā ilzām le gayā
taswir-e-zulf-o-ariz-e-gulfam le gaya
murghan-e-quds ke liye gul-dam le gaya
duniya se dagh-e-zulf-e-siyah-fam le gaya
main gor mein charagh sar-e-sham le gaya
ki tark main ne shaiKH-o-barahman ki pairwi
dair-o-haram mein mujh ko tera nam le gaya
kya kya dikhai sair-e-safed-o-siyah-e-dahr
kis kis taraf ko ablaq-e-ayyam le gaya
eajaz main ne rajat-e-KHurshid ka kiya
baala-e-baam us ko sar-e-sham le gaya
bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram mein hum
is samt kufr us taraf islam le gaya
chehle ke gul chaDhae koi meri qabr par
main aarzu-e-wasl-e-gul-andam le gaya
pistan-e-nau-damida ne malwae KHub hath
main dagh-e-hasrat-e-samar-e-KHam le gaya
didar dostan-e-watan ka dikha diya
mujh ko adam mein ablaq-e-ayyam le gaya
pahna kafan to kucha-e-qatil main pai rah
kabe mein mujh ko jama-e-ehram le gaya
rah-e-adam mein sair-e-charaghan nazar paDi
turbat mein dagh-e-gham dil-e-nakaam le gaya
dozaKH mein jal gaya kabhi jannat mein KHush raha
mar kar bhi sath gardish-e-ayyam le gaya
nafrat hui do-rangi-e-lail-o-nahaar se
main subh-o-sham us ko lab-e-baam le gaya
zer-e-zamin ghurub hua aaftab aaj
turbat mein dagh baada-e-gulfam le gaya
tir-e-sitam se mil ke uDa jaanib-e-adam
par aap ke KHadang se main dam le gaya
main justuju-e-kufr mein pahuncha KHuda ke pas
kabe tak un buton ka mujhe nam le gaya
saqi ke pas wusat-e-mashrab ne rah di
main kasa-e-falak ewaz-e-jam le gaya
kuchh lutf ishq ka na mila jite-ji 'munir'
nahaq ka ranj muft ka ilzam le gaya
- Muntakhabul-Alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.