Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talluqat ki garmi na etibar ki dhup

Ali Abbas Ummeed

talluqat ki garmi na etibar ki dhup

Ali Abbas Ummeed

ta.alluqāt garmī na e'tibār dhuup

jhulas rahī hai zamāne ko intishār dhuup

ġham-e-hayāt ke saa.e muhīb haiñ varna

kise pasand nahīñ hai ḳhayāl-e-yār dhuup

abhī se amn ThanDak talāsh karte ho

abhī to chamkī hai yaaro salīb-o-dār dhuup

alam rāhguzar par bahut kaam aa.iiñ

tumhārī yaad sham.eñ hamāre pyaar dhuup

kamand Daal deñ sūraj pe aao mil-jul kar

ab aur tez na hone deñ rozgār dhuup

laboñ pe mohr jigar ḳhūñ-chakāñ nazar hairāñ

ab aur kaise jalā.egī ye bahār dhuup

tumhāre shahr shaidā-ba-dast yādoñ ko

talāsh kartī rahī dil ke kohsār dhuup

bahut qarīb haiñ saa.e hayāt-e-nau ke 'umīd'

bahut jald Dhalegī ab intizār dhuup

talluqat ki garmi na e'tibar ki dhup

jhulas rahi hai zamane ko intishaar ki dhup

gham-e-hayat ke sae muhib hain warna

kise pasand nahin hai KHayal-e-yar ki dhup

abhi se amn ki ThanDak talash karte ho

abhi to chamki hai yaro salib-o-dar ki dhup

alam ki rahguzar par bahut hi kaam aain

tumhaari yaad ki shamen hamare pyar ki dhup

kamand Dal den suraj pe aao mil-jul kar

ab aur tez na hone den rozgar ki dhup

labon pe mohr jigar KHun-chakan nazar hairan

ab aur kaise jalaegi ye bahaar ki dhup

tumhaare shahr ki shaida-ba-dast yaadon ko

talash karti rahi dil ke kohsar ki dhup

bahut qarib hain sae hayat-e-nau ke 'umid'

bahut hi jald Dhalegi ab intizar ki dhup

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now