Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukut-e-sham mein gunji sada udasi ki

Rehman Faris

sukut-e-sham mein gunji sada udasi ki

Rehman Faris

sukūt-e-shām meñ gūñjī sadā udāsī

ki hai mazīd udāsī davā udāsī

bahut sharīr thā maiñ aur hañstā phirtā thā

phir ik faqīr ne de duā udāsī

umūr-e-dil meñ kisī tīsre daḳhl nahīñ

yahāñ faqat tirī chaltī hai udāsī

charāġh-e-dil ko zarā ehtiyāt se rakhnā

ki aaj raat chalegī havā udāsī

vo imtizāj thā aisā ki dañg thī har aañkh

jamāl-e-yār ne pahnī qabā udāsī

isī umiid pe āñkheñ barastī rahtī haiñ

ki ek din to sunegā ḳhudā udāsī

shajar ne pūchhā ki tujh meñ ye kis ḳhushbū hai

havā-e-shām-e-alam ne kahā udāsī

dil-e-fasurda ko maiñ ne to maar Daalā

so maiñ to Thiik huuñ ab sunā udāsī

zarā chhū leñ to ghanToñ dahaktī rahtī hai

hameñ to maar ga.ī ye adā udāsī

bahut dinoñ se maiñ us se nahīñ milā 'fāris'

kahīñ se ḳhair-ḳhabar le ke aa udāsī

sukut-e-sham mein gunji sada udasi ki

ki hai mazid udasi dawa udasi ki

bahut sharir tha main aur hansta phirta tha

phir ek faqir ne de di dua udasi ki

umur-e-dil mein kisi tisre ka daKHl nahin

yahan faqat teri chalti hai ya udasi ki

charagh-e-dil ko zara ehtiyat se rakhna

ki aaj raat chalegi hawa udasi ki

wo imtizaj tha aisa ki dang thi har aankh

jamal-e-yar ne pahni qaba udasi ki

isi umid pe aankhen barasti rahti hain

ki ek din to sunega KHuda udasi ki

shajar ne puchha ki tujh mein ye kis ki KHushbu hai

hawa-e-sham-e-alam ne kaha udasi ki

dil-e-fasurda ko main ne to mar hi Dala

so main to Thik hun ab tu suna udasi ki

zara sa chhu len to ghanTon dahakti rahti hai

hamein to mar gai ye ada udasi ki

bahut dinon se main us se nahin mila 'faris'

kahin se KHair-KHabar le ke aa udasi ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now