Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun-e-qalb o shakeb-e-nazar ki baat karo

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

sukun-e-qalb o shakeb-e-nazar ki baat karo

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

sukūn-e-qalb o shakeb-e-nazar baat karo

guzar ga.ī hai shab-e-ġham sahar baat karo

diloñ zikr kyā hai mileñ mileñ na mileñ

nazar milāo nazar se nazar baat karo

shagufta ho na sakegī fazā-e-arz-o-samā

kisī jalva-gah-e-bām-o-dar baat karo

harīm-e-nāz ḳhalvat meñ dastaras hai kise

nazāra-hā-e-sar-e-rah-guzar baat karo

badal na jaa.e kahīñ iltifāt-e-husn rañg

halāvat-e-nigah-e-muḳhtasar baat karo

jahān-e-hosh-o-ḳhirad ke muāmle haiñ darāz

kisī ke gesū-e-āshufta-sar baat karo

nigāh-e-nāz hai ik kā.enāt-e-rāz-o-niyāz

jidhar kare vo ishāra udhar baat karo

surūr-e-zīst huā jis ke dam-qadam se nasīb

usī nadīm usī ham-safar baat karo

vo jis se talḳhī-e-zahrāb-e-ġham gavārā hai

usī 'tabassum'-e-shīrīñ-asar baat karo

sukun-e-qalb o shakeb-e-nazar ki baat karo

guzar gai hai shab-e-gham sahar ki baat karo

dilon ka zikr hi kya hai milen milen na milen

nazar milao nazar se nazar ki baat karo

shagufta ho na sakegi faza-e-arz-o-sama

kisi ki jalwa-gah-e-baam-o-dar ki baat karo

harim-e-naz ki KHalwat mein dastaras hai kise

nazara-ha-e-sar-e-rah-guzar ki baat karo

badal na jae kahin iltifat-e-husn ka rang

halawat-e-nigah-e-muKHtasar ki baat karo

jahan-e-hosh-o-KHirad ke muamle hain daraaz

kisi ke gesu-e-ashufta-sar ki baat karo

nigah-e-naz hai ek kaenat-e-raaz-o-niyaz

jidhar kare wo ishaara udhar ki baat karo

surur-e-zist hua jis ke dam-qadam se nasib

usi nadim usi ham-safar ki baat karo

wo jis se talKHi-e-zahrab-e-gham gawara hai

usi 'tabassum'-e-shirin-asar ki baat karo

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now