Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya

Abdul Ahad Saaz

soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya

Abdul Ahad Saaz

soch kar bhī kyā jaanā jaan kar bhī kyā paayā

jab bhī ā.īna dekhā ḳhud ko dūsrā paayā

hoñT par diyā rakhnā dil-jaloñ shoḳhī hai

varna is añdhere meñ kaun muskurā paayā

bol the divānoñ ke jin se hosh vāloñ ne

soch ke dhuñdlakoñ meñ apnā rāsta paayā

ehtimām dastak apnī vaz' thī varna

ham ne dar rasā.ī bār-hā khulā paayā

falsafoñ ke dhāgoñ se khīñch kar sirā dil

vahm se haqīqat tak ham ne silsila paayā

'umr zamāne khel hai bahāne

sab ne mājrā dekhā kis ne mudda'ā paayā

shā.erī talab apnī shā.erī 'atā us

hausle se kam māñgā zarf se sivā paayā

'sāz' jab khulā ham par she'r koī 'ġhālib'

ham ne goyā bātin ik surāġh paayā

soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya

jab bhi aaina dekha KHud ko dusra paya

honT par diya rakhna dil-jalon ki shoKHi hai

warna is andhere mein kaun muskura paya

bol the diwanon ke jin se hosh walon ne

soch ke dhundlakon mein apna rasta paya

ehtimam dastak ka apni waz' thi warna

hum ne dar rasai ka bar-ha khula paya

falsafon ke dhagon se khinch kar sira dil ka

wahm se haqiqat tak hum ne silsila paya

'umr ya zamane ka khel hai bahane ka

sab ne majra dekha kis ne mudda'a paya

shaeri talab apni shaeri 'ata us ki

hausle se kam manga zarf se siwa paya

'saz' jab khula hum par she'r koi 'ghaalib' ka

hum ne goya baatin ka ek suragh sa paya

Source :
  • Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 63)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now