Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siwae-dar-ba-dari usko KHak milta hai

Alamtaab Tishna

siwae-dar-ba-dari usko KHak milta hai

Alamtaab Tishna

MORE BYAlamtaab Tishna

    sivā.e-dar-ba-darī us ko ḳhaak miltā hai

    jo āsmān se apnī zamīñ badaltā hai

    maiñ jab bhī ghar se nikaltā huuñ raat ko tanhā

    charāġh le ke koī saath saath chaltā hai

    ajiib hotā hai nazzārgān-e-shauq haal

    ridā-e-māh pahan kar vo jab nikaltā hai

    barū-e-chashm ridā-e-hijāb taan jaa.e

    vo zer-e-sāya-e-gul pairahan badaltā hai

    fareb-e-qurb to dekho ki mere pahlū meñ

    tamām raat koī karvaTeñ badaltā hai

    guzār dete haiñ āvāra-gard aag ke gird

    jo be-Thikāna haiñ un bhī kaam chaltā hai

    hamāre dam se bhī hai mausamoñ gul-kārī

    charāġh-e-lāla meñ dil lahū bhī jaltā hai

    maiñ vo shahīd-e-vafā huuñ ki qatl kar ke mujhe

    mirā ġhanīm ta.assuf se haath maltā hai

    hameñ nasīb huā aisī manziloñ safar

    qadam qadam pe jahāñ rāsta badaltā hai

    havā-e-dāman-e-rañgīñ ye kah ga.ī 'tishna'

    hamāre sāmne kis charāġh jaltā hai

    siwae-dar-ba-dari us ko KHak milta hai

    jo aasman se apni zamin badalta hai

    main jab bhi ghar se nikalta hun raat ko tanha

    charagh le ke koi sath sath chalta hai

    ajib hota hai nazzargan-e-shauq ka haal

    rida-e-mah pahan kar wo jab nikalta hai

    baru-e-chashm rida-e-hijab tan li jae

    wo zer-e-saya-e-gul pairahan badalta hai

    fareb-e-qurb to dekho ki mere pahlu mein

    tamam raat koi karwaTen badalta hai

    guzar dete hain aawara-gard aag ke gird

    jo be-Thikana hain un ka bhi kaam chalta hai

    hamare dam se bhi hai mausamon ki gul-kari

    charagh-e-lala mein dil ka lahu bhi jalta hai

    main wo shahid-e-wafa hun ki qatl kar ke mujhe

    mera ghanim tassuf se hath malta hai

    hamein nasib hua aisi manzilon ka safar

    qadam qadam pe jahan rasta badalta hai

    hawa-e-daman-e-rangin ye kah gai 'tishna'

    hamare samne kis ka charagh jalta hai

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 288)
    • Author : Farooq Argali
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now